Mehfil jab thi dilwalo ki,
Mujhko bhi bulawa aaya tha.
Kaise na jate hum,
Jab kehne ko kuchh kaha gaya,
toh khayal unka hi aaya tha
Fir akshar-akshar jodke maine,
dil ka dard sunaya tha.
Tab aansu unki yaadon k,
na na karte nikal gaye.
Jo samjhe vo khamosh rhe,
Baki wah-wah karke nikal gaye.
